Dear All....
SpeakAsia ki criminalities khatm ho chuki hain.. sirf 5 points yahan manetion kar raha hoon....!!
1. Exit Option Launched - 1 August, 2011. yahan se pata chal ki company paisa dena chahti hai...!!
...
2. Mediator Appointed - 14th November, 2011. Hon supreme court ne maana
ki yeh ek vivaad hai aur isey aapsa baatcheet se suljhaya jaana
chahiye... jiske liye lahoti sir ko mediator appoint kiya gaya..!!
3. Amount Deposited - 20th Feb, 2012. Company ne 50 crore ( DD no.
037002, State Bank Of India, Singapore Branch) Supreme Court Registry me
deposit kiye..!!
4. Stay on investigation - 21st March, 2012.
Navneet khosla ne apni complaint wapas li aur uski wajah se ho rahi
investigation aur arrests par stay laga.
5. Saol is not an
Indian Company - ab isme aisa hai ki company indian nahi hai... jab writ
383/2011 in Supreme Court me usey party banaya gaya to usko reply dena
zaruri nahi tha kyunki saol Indian Jurisdiction me nahi aati... lekin
SpeakAsia ne wahan reply diya aur 50 crore deposit bhi kar diye..!! yeh
hai uski imandari aur naitikta ka saboot..!!
To agar koi bhi
bhai company ke against ya apne upline/leader ya kisi bhi tarah se
SpeakAsia se related kisi bhi person ke against F.I.R ya complaint karta
hai to uska koi use nahi hai..!!! Aaj bahut lamba safar karke hum yahan
tak pahunche hain... ab koi galti mat kar baithna... jis se ki baad me
pachtaana pade...!!! kyunki ye sawaal 12.5 lakh logon ki rozi roti ka
hai... kisi bhi tarah ka delay aisi galti ki wajah nahi hona chahiye...
12.5 lakh logon ki duwa aur bad duwa dono he khali nahi jayengi..!!!
Pasand aapki kyunki zindagi hai aapki...!!!
Best Of Luck & Be Happy Always...!!! :o)
Regards...
Aman Azad
No comments:
Post a Comment